--MALE--
Tum bhi ho, main bhi hoon
Paas aao to keh doon
Aakhir kyoon pal mein yun deewaana main ho gaya
Tumhe jo maine dekha, tumhe jo maine jaana - 2
Jo hosh tha voh to gaya
Badan ki yeh khushboo jagaane lagi jaadu
To hoke beqaabu dil kho gaya
Tumhe jo maine socha, tumhe jo maine maana
Tumhe jo maine dekha, tumhe jo maine jaana
Jo hosh tha voh to gaya
Itni kyoon tum khoobsurat ho
Ke sab ko hairat ho
Duniya mein sachmuch hi rehti hai
Pariyon se bhi zyaada pyaari si ladki koi
Haan itni kyoon bolo haseen tum ho
Jo dekhe gumsum ho
Dekho na main bhi hoon khoya sa baheka sa
Mujhpe bhi chhaayi hai deewaangi
Tumhi ko maine pooja, tumhi ko chaaha paana
Tumhe jo maine dekha, tumhe jo maine jaana
Jo hosh tha voh to gaya
Badan ki yeh khushboo jagaane lagi jaadu
To hoke beqaabu dil kho gaya
Tumhe jo maine dekha, tumhe jo maine jaana - 2
Jo hosh tha voh to gaya

--FEMALE--
Tum bhi ho, main bhi hoon
Paas aao to keh doon
Tumne jo dekha to kya jaane kya ho gaya
Jaane kyoon rehti hoon khoyi si
Jaagi na soyi si
Ab dil mein armaan hai saanson mein toofaan hai
Aankhon mein khwaabon ki hai chaandni
Haan, jaane kyoon baheka sa yeh mann hai
Maheka sa yeh tan hai
Chalti hoon itraake ithlaake sharmaake balkhaake
Jaise koi raagini
Tumhe jo maine samjha, tumhe jo pehchaana
Tumhe jo maine dekha, tumhe jo maine jaana
Jo hosh tha voh to gaya

--MALE--
Badan ki yeh khushboo jagaane lagi jaadu
To hoke beqaabu dil kho gaya

--BOTH--
Tumhe jo maine dekha, tumhe jo maine jaana - 4

0 Comments:

Post a Comment



Newer Post Older Post Home